Amjad Islam Amjad Poetry Sms
Zindagi K Mele Main
zindagi k mele main
khvahishon k rele main
tum se kya kahen jana
is qadar jhamele main
vaqt ki ravani hai
bakht ki girani hai
sakht bezamini hai
sakht lamakani hai
hijr k samandar main
takht aur takhte ki
ek hi kahani hai
tum ko jo sunani hai
bat go zara si hai
bat umr bhar ki hai
umr bhar ki baten kab
do ghari main hoti hain
dard k samandar main
anginat jaziren hain
beshumar moti hain
ankh k dariche main
tum ne jo sajaya tha
bat us diye ki hai
bat us gile ki hai
jo lahu ki khilvat main
chor ban k ata hai
lafz k fasilon par
tut tut jata hai
zindagi se lambi hai
bat ratjage ki hai
raste main kaise ho
bat takhliye ki hai
takhliye ki baton main
guftagu izafi hai
pyar karne valon ko
ik nigah kafi hai
ho saky to sun jao
ek din akale main
tum se kya kahen jana
is qadar jhamele main
Yahi Bahut Hai K Dil Us Ko Dhund Laya Hai
yahi bahut hai k dil us ko dhund laya hai
kisi k sath sahi vo nazar to aya hai
karun shikayaten takta rahun k pyar karun
gaye bahar ki surat vo laut aya hai
vo samane tha magar ye yaqin na ata tha
vo ap hai k meri khvahishon ka saya hai
azab hup k kaise hain barishen kya hain
fasil-e-jism giri jab to hosh aya hai
main kya karunga agar vo na mil saka ‘Amjad’
abhi abhi mere dil main Khayal aya hai
Tulu-e-shams-e-mufaraqat Hai
tulu-e-shams-e-mufaraqat hai
purani kirnen naye makanon k anganon main laraz rahi hain
fasil-e-shahar-e-vafa k rozan chamakte zarron se bhar gai hain
gaye dinon k aziz baten nigar subahen gulab raten
bisat-e-dil bhi ajib shay hai hazar jiten hazar maten
judaiyon ki havayen lamhon ki Khush matti ura rahi hain
gai ruton ka malal kab tak
chalo k shakhen to tutati hain
chalo k qabron pe khun rone se
apni ankhen hi phutti hain
ye mor vo hai jahan se mere tumhare raste badal gaye hain
purani rahon ko lautana bhi hamari qatadir main nahi
k raste bhi hamare qadamon k sath age nikal gaye hain
tulu-e-shams-e-mufaraqat hai
tum apani ankhon main jhilmilate huye sitaron ko maut de do
gai ruton k tamam phulon tamam kharon ko maut de do
naye safar ko hayat bakhsho
k pichli rahon pe sabt jitne nuqush-e-pa hain
vo bar honge
hava uraye k tum urao
Teri Zat Se Nikalna Chahta Hai
Teri zat se nikalna chahta hai
ye dariya rukh badalana chahata hai
vo sapna jis ki surat hi nahi hai
meri ankhon main chalna chahta hai
dilon ki mandagi pe kya ta’ajjub
k suraj bhi to dhalna chahta hai
nashist-e-dard badali hai to ab dil
zara pahlu badalna chahta hai
mujhe bhi samana hai karbala ka
mera sar bhi uchalna chahta hai
nahi hai tarjuman-e-gam ye ansu
ye pani ab ubalna chahta hai
tabassum zer-e-lab kahta hai ‘Amjad’
koi jazba machalna chahta hai
Sitare Jo Damakate Hain
sitare jo damakate hain
kisi ki chashm-e-hairan main
mulaqaten jo hoti hain
jamal-e-abr-o-baran main
ye na abad vaqton main
dil-e-nashad main hogi
muhabbat ab nahi hogi
ye kuch din bad main hogi
guzar jayenge jab ye din
ye un ki yad main hogi
Na Shikayaten Na Gila Kare
na shikayaten na gila kare
koi aisa shaKhs hua kare
jo mere liye hi saja kare
mujh hi se baten kiya kare
kabhi roye jaye vo bepanah
kabhi betahasha udas ho
kabhi chup k chup k dabe qadam
mere piche a kar hansa kare
meri qurbaten meri chahaten
koi yad kare qadam qadam
main tavil safar main hun agar
meri vapasi ki dua kare
Mohabbat Ki Tabiyat Main
mohabbat ki tabiyat main
ye kaisa bachpana qudarat ne rakha hai
k jitni purani jitni bhi mazbut ho jaye
ise taid-e-taza ki zarurat phir bhi rahti hai
yaqin ki aKhiri had tak dilon main lahlahati ho
nigahon se tapakti ho lahu main jagmagati ho
hazaron tarah se dilkash hasin hale banati ho
use izhar k lafzon ki hajat phir bhi rahti hai
mohabbat mangati hai yun gavahi apane hone ki
k jaise tifl-e-sada sham ko ik bij boye
aur shab main baura uthe
zamin ko khod kar dekhe
k paudha ab kahan tak hai
mohabbat ki tabiyat main ajab takrar ki Khu hai
k ye iqrar k lafzon ko sunane se nahi thakati
bicharne ki ghari ho ya koi milane ki sa’at ho
ise bas ek hi dhun hai
kaho mujh se mohabbat hai
kaho mujh se mohabbat hai
kuch aisi besakuni hai vafa ki sarzaminon main
k jo ahal-e-mohabbat ko sada bechain rakhti hai
k jaise phul main Khsuhbu k jaise hath main tara
k jaise sham ka tara
mohabbat karne valon ki sahar raton main rahti hai
gumanam k shakhchon main ashiyan banata hai ulfat ka
ye ain visal main bhi hijr k khadshon main rahti hai
mohabbat k musafir zindagi jab kat chukte hain
thakan ki karachiyan chunte vafa ki ajarakn pahne
samay ki rahguzar ki aKhiri sarhad pe rukte hain
to koi dubati sanson ki dori tham kr
dhire se kahta hai
k ye sach hai na
hamari zindagi ik dusare k nam likhi thi
dhundhalaka sa jo ankhon k qarib-o-dur phaila hai
isi ka nam chahat hai
tumhen mujh se mohabbat thi
tumhen mujh se mohabbat hai
mohabbat ki tabiyat main
ye kaisa bachpana qudarat ne rakkha hai
Mera Tamam Fun Meri Kavish Mera Riyaz
mera tamam fun meri kavish mera riyaz
ik na-tamam git k misre hain jin k bich
mani ka rabt hai na kisi kafiye ka mel
anjam jis ka tay na hua ho ik aisa khel
meri mata bas yahi jadu hai ishq ka
sikha hai jis ko main ne bari mushkilon k sath
lekin ye sahir-e-ishq ka tohfa ajib hai
khulta nahi hai kuch k haqiqat main kya hai ye
taqdir ki ata hai ya koi saza hai ye
kis se kahen ai jan k ye qissa ajib hai
kahne ko yun to ishq ka jadu hai mere pas
par mere dil k vaste itna hai is ka bojh
sine se ik pahar-sa hatta nahi hai ye
lekin asar k bab main halka hai is qadar
tujh pe agar chalaun to chalata nahi hai ye
Kuch Aise Ghao Bhi Hote Hain
kuch aise ghao bhi hote hain
jinhen zakhmi ap nahi dhote
bin roye huye ansuon ki tarah
sine main chupa k rakhte hain
aur sari umr nahi rote
ninden bhi muhaiya hoti hain
sapne bhi dur nahi hote
kyun phir bhi jagte rahte hain
kyun sari rat nahi sote
ab kis se kahen ai jan-e-vafa
ye ahal-e-vafa kis ag main jalte rahte hain
kyun bujh k rakh nahi hote
Kisi Ki Ankh Jo Purnam Nahi Hai
kisi ki ankh jo purnam nahi hai
na samajho ye ke us ko Gam nahi hai
savad-e-dard main tanha khara hun
palat jaun magar mausam nahi hai
samajh main kuch nahi ata kisi k
agarche guftagu mubham nahi hai
sulagta kyun nahi tarik jangal
talab ki lau agar maddham nahi hai
ye basti hai sitam parvar digan ki
yaha koi kisi se kam nahi hai
kinara dusara dariya ka jaise
vo sathi hai magar mahram nahi hai
dilon ki raushani bujhne na dena
vajud-e-tiragi mahkam nahi hai
main tum ko chah kar pachta raha hun
koi is zaKhm ka marham nahi hai
jo koi sun sake ‘Amjad’ to suna dena
ba-juz ek baz gasht-e-Gam nahi hai

