Bahadur Shah Zafar Poetry Sms
Yar Tha Gulzar Tha Bad-e-saba Thi Main Na Tha
yar tha gulzar tha bad-e-saba thi main na tha
layaq-e-pa-bos-e-jan kya hina thi main na tha
hath kyon bandhe mere chala agar chori hua
ye sarapa shokhi-e-rang-e-hina thi main na tha
main ne pucha kya hua wo ap ka husn-o-shabab
hans k bola wo sanam shan-e-Khuda thi main na tha
main sisakta rah gaya aur mar gaye farahad-o-qais
kya unhin donon k hisse mein qaza thi main na tha
Ya Mujhe Afsar-e-shaha Na Banaya Hota
ya mujhe afsar-e-shaha na banaya hota
ya mera taj gadaya na banaya hota
khaksari k liye garche banaya tha mujhe
kash khak-e-dar-e-janan na banaya hota
nasha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko
umr ka tang na paimana banaya hota
apna diwana banaya mujhe hota tune
kyon khirdmand banaya na banaya hota
shola-e-husn chaman mein na dikhaya us ne
warna bulbul ko bhi parwana banaya hota
roz-e-mamura-e-duniya mein kharabi hai ‘Zafar’
aisi basti se to wirana banaya hota
Wo Behisab Jo Pi K Kal Sharab Aya
wo behisab jo pi k kal sharab aya
agarche mast tha main par mujhe hijab aya
idhar khayal mere dil mein zulf ka guzra
udhar wo khata hua dil mein pech-o-tab aya
khayal kis ka samaya hai dida-o-dil mein
na dil ko chain mujhe aur na shab ko khwab aya
Tum Na Aye Ek Din Ka Wada Kar Do Din Talak
tum na aye ek din ka wada kar do din talak
ham pare tarpa kiye do do pahar do din talak
dard-e-dil apna sunta hun kabhi jo ek din
rahta hai us naznin ko dard-e-sar do din talak
dekhte hain khwab mein jis din kisu ki chashm-e-mast
rahte hain ham do jahan se bekhabar do din talak
gar yaqin ho ye hamein ayega tu do din k bad
to jiyen ham aur is ummid par do din talak
kya sabab kya wasta kya kam tha batlaiye
ghar se jo nikle na apne tum “Zafar” do din talak
The Kal Jo Apne Ghar Mein Wo Mahman Kahan Hain
the kal jo apne ghar mein wo mahman kahan hain
jo kho gaye hain ya rab wo ausan kahan hain
ankhon mein rote rote nam bhi nahin ab to
the maujzan jo pahle wo tufan kahan hain
kuch aur dhab ab to hamein log dekhte hain
pahle jo ai “Zafar” the wo insan kahan hain
Subah Ro Ro K Sham Hoti Hai
subah ro ro k sham hoti hai
shab tarap kar tamam hoti hai
samne chashm-e-mast k saqi
kis ko parwah-e-jam hoti hai
koi guncha khila k bul-bul ko
bekali zar-e-dam hoti hai
ham jo kehte hain kuch isharon se
ye kheta la-kalam hoti hai
Pas-e-marg Mere Mazar Par Jo Chirag Kisi Ne Jala Diya
pas-e-marg mere mazar par jo chirag kisi ne jala diya
use ah daman-e-bad ne sare sham hi se bujha diya
mujhe dafn karna tu jis ghari to ye us se kahna k ai pari
wo jo tera ashiq-e-zar tha tah-e-khak use daba diya
dam-e-gusl se mere peshtar use hamdamon ne ye soch kar
kahin jawe us ka na dil dahal meri lash par se hata diya
meri ankh jhapki thi ek pal mere dil ne chaha k uth k chal
dil-e-beqarar ne o miyan wahin chutki le k jaga diya
zara un ki shokhi to dekhiye liye zulf-e-khamshuda hath mein
mere piche aye dabe-dabe mujhe sanp kah k dara diya
main ne dil diya main ne jan di magar ah! tune na qadr ki
kisi bat ko jo kaha kabhi use chutkiyon mein ura diya
Na Kisi Ki Ankh Ka Nur Hun Na Kisi K Dil Ka Qarar Hun
na kisi ki ankh ka nur hun na kisi k dil ka qarar hun
jo kisi k kam na a sak main wo ek musht-e-gubar hun
na to main kisi ka habib hun na to main kisi ka raqib hun
jo bigar gaya wo nasib hun jo ujar gaya wo dayar hun
mera rang-rup bigar gaya mera yar mujh se bichar gaya
jo chaman fizan mein ujar gaya main usi ki fasl-e-bahar hun
paye fateha koi aye kyun koi char phul charhaye kyun
koi ak shamma jalaye kyun main wo bekasi ka mazar hun
main nahin hun nagma-e-janfishan mujhe sun k koi karega kya
main bare barog ki hun sada main bare dukh ki pukar hun
Kije Na Das Mein Baith Kar Apas Ki Bat Chit
kije na das mein baith kar apas ki bat chit
pohnchegi das hazar jagah das ki bat chit
kab tak rahen khamosh k zahir se ap ki
ham ne bahut suni kas-o-nakas ki bat chit
muddat k bad hazrat-e-naseh karam kiya
farmaye mizaj-e-muqaddas ki bat chit
par tark-e-ishq k liye izhar kuch na ho
main kya karun nahin ye mere bas ki bat chit
kya yad a gaya hai “Zafar” panja-e-nigar
kuch ho rahi hai band-o-mukhmmas ki bat chit
Khulta Nahin Hai Hal Kisi Par Kahe Bagair
khulta nahin hai hal kisi par kahe bagair
par dil ki jan lete hain dilbar kahe bagair
main kyunkar kahun tum ao k dil ki kashish se wo
ayenge daure ap mere ghar kahe bagair
kya tab kya majal hamari k bosa len
lab ko tumhare lab se milkar kahe bagair
bedard tu sune na sune lek dard-e-dil
rahta nahin hai ashiq-e-muztar kahe bagair
taqdir k siwa nahin milta kahin se bhi
dilawata ai “Zafar” hai muqaddar kahe bagair

