Hafeez Jullundhary Poetry Sms

Agar Mauj Hai Bich Dhare Chala Chal

Posted by 9 January, 2011 (0) Comment

agar mauj hai bich dhare chala chal
wagarna kinare kinare chala chal

isi chal se mere pyare chala chal
guzarti hai jaise guzare chala chal

tujhe sath dena hai bahrupiyon ka
naye se naya rup dhare chala chal

musalsal buton ki tamanna kiye ja
musalsal Khuda ko pukare chala chal

tujhe to abhi der tak khelna hai
isi mein to hai jit hare chala chal

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...
Categories : Hafeez Jullundhary Poetry Sms Tags :

Ab to Kuch Aur Bhi Andhera Hai

Posted by 9 January, 2011 (0) Comment

ab to kuch aur bhi andhera hai
ye meri rat ka sawera hai

rahzanon se to bhag nikla tha
ab mujhe rahbaron ne ghera hai

age age chalo tabar walo
abhi jangal bahut ghanera hai

qafila kis ki pairawi mein chale
kaun sab se bara lutera hai

so raho ab “Hafeez”ji tum bhi
ye nai zindagi ka dera hai

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...
Categories : Hafeez Jullundhary Poetry Sms Tags :

Ai Dost Mit Gaya Hun Fana Ho Gaya Hun Main

Posted by 9 January, 2011 (0) Comment

ai dost mit gaya hun fana ho gaya hun main
is daur-e-dosti ki dawa ho gaya hun main

qayam kiya hai maine adam k wajud ko
dunya samajh rahi hai fana ho gaya hun main

himmat buland thi magar uftad dekhna
chupchap aj mahw-e-dua ho gaya hun main

ye zindagi fareb-e-musalsal na ho kahin
shayad asir-e-dam-e-bala ho gaya hun main

han kaif-e-bekhudi ki wo saat bhi yad hai
mahsus kar raha tha Khuda ho gaya hun main

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...
Categories : Hafeez Jullundhary Poetry Sms Tags :

Dil Abhi Tak Jawan Hai Pyare

Posted by 9 January, 2011 (0) Comment

dil abhi tak jawan hai pyare
kis musibat mein jan hai pyare

tu mere hal ka khayal na kar
is mein bhi ek shan hai pyare

rat kam hai na cher hijr ki bat
ye bari dastan hai pyare

talkh kar di hai zindagi jis ne
kitni mithi zaban hai pyare

jane kya kah diya tha roz-e-azal
aj tak imtihan hai pyare

main tujhe bewafa nahin kahta
dushmanon ka bayan hai pyare

sari dunya ko hai galatfahmi
mujh pe tu mehraban hai pyare

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...
Categories : Hafeez Jullundhary Poetry Sms Tags :

Bargashta-e-yazdan Se Kuch Bhul Hui Hai

Posted by 9 January, 2011 (0) Comment

bargashta-e-yazdan se kuch bhul hui hai
bhatke hue insan se kuch bhul hui hai

ta hadd-e-nazar shole hi shole hain chaman mein
phulon k nigehban se kuch bhul hui hai

jis ahad mein lut jaye faqiron ki kamai
us ahad ke sultan se kuch bhul hui hai

hanste hain meri surat-e-maftun pe shagufe
mere dil-e-nadan se kuch bhul hui hai

huron ki talab aur mai-o-sagar se hai nafrat
zahid tere irfan se kuch bhul hui hai

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...
Categories : Hafeez Jullundhary Poetry Sms Tags :

Khun Ban Kar Munasib Nahin Dil Bahe

Posted by 9 January, 2011 (0) Comment

khun ban kar munasib nahin dil bahe
dil nahin manta kaun dil se kahe

teri dunya mein aye bahut din rahe
sukh ye paya k hamne bahut dukh sahe

bulbulen gul k ansu nahin chattein
un ko apne hi margub hain chehchahe

alam-e-naza mein sun raha hun main kya
ye azizon ki chikhen hai ya qehqahe

is naye husn ki bhi adaon pe ham
mar mitenge basharte ki zinda rahe

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...
Categories : Hafeez Jullundhary Poetry Sms Tags :

Koi Chara Nahin Dua K Siwa

Posted by 9 January, 2011 (0) Comment

koi chara nahin dua k siwa
koi sunta nahin Khuda k siwa

mujh se kya ho saka wafa k siwa
mujh ko milta bhi kya saza k siwa

dil sabhi kuch zaban par laya
ik faqat arz-e-mudda k siwa

barsar-e-sahil-e-muqam yahan
kaun ubhra hai nakhuda k siwa

dil sabhi kuch zuban par laya
ik faqat arz-e-mudda k siwa

doston k ye mukhali sana tir
kuch nahin meri hi khata k siwa

ye “Hafeez” ah ah par akhir
kya kahen dost wah wah k siwa

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...
Categories : Hafeez Jullundhary Poetry Sms Tags :

Koi Dawa Na De Sake, Mashwara Dua Diya

Posted by 9 January, 2011 (0) Comment

koi dawa na de sake, mashwara dua diya
charagaron ne aur bhi dil ka dard barha diya

zauq-e-nigah k siwa shauq-e-gunah k siwa
mujhko Khuda se kya mila mujhko buton ne kya diya

thi na khizan ki rok-tham daman-e-ikhtiyar mein
hamne bhari bahar mein apna chaman luta diya

husn-e-nazar ki abaru sanat-e-brahaman se hai
jisko sanam samajh liya usko Khuda bana diya

dag hai mujhpe ishq ka mera gunah bhi to dekh
uski nigah bhi to dekh jisne ye gul khila diya

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...
Categories : Hafeez Jullundhary Poetry Sms Tags :

Tu Bhi Kisi Ka Pyar Na Paye Khuda Kare

Posted by 9 January, 2011 (0) Comment

tu bhi kisi ka pyar na paye Khuda kare
tujh ko tera nasib rulaye Khuda kare

raton mein tujh ko nind na aye Khuda kare
tu dar-ba-dar ki thokren khaye Khuda kare

aye bahar tere gulistan mein bar bar
tujh par kabhi nikhar na aye Khuda kare

meri tarah tujhe bhi jawani mein gam mile
tera na koi sath nibhaye Khuda kare

manzil kabhi bhi pyar ki tujh ko na mil sake
tu bhi dua ko hath uthaye Khuda kare

tujh par shab-e-wisal ki raten haram hon
shammein jala jala k bujhaye Khuda kare

ho jayen bad-duayen meri dosto galat
ab un pe koi harf na aye Khuda kare

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...
Categories : Hafeez Jullundhary Poetry Sms Tags :

Ye Kya Muqam Hai Wo Nazare Kahan Gaye

Posted by 9 January, 2011 (0) Comment

ye kya muqam hai wo nazare kahan gaye
wo phul kya huye wo sitare kahan gaye

yaran-e-bazm-e-jurrat-e-rindana kya hui
un mast ankhariyon k ishare kahan gaye

ek aur daur ka wo taqaza kidhar gaya
umre huye wo hosh k dhare kahan gaye

uth uth k baith chuki gard rah ki
yaro qafile thake hare kahan gaye

betab tere dard se the charagar “Hafeez”
kya janiye wo dard k mare kahan gaye

1 Star2 Stars3 Stars4 Stars5 Stars (No Ratings Yet)
Loading ... Loading ...
Categories : Hafeez Jullundhary Poetry Sms Tags :