Iftikhar Arif Poetry Sms
Dayar-e-nur Mein Tera Shabon Ka Sathi Ho
dayar-e-nur mein tera shabon ka sathi ho
koi to ho jo meri wahshaton ka sathi ho
main us se jhuth bhi bolun to mujh se sach bole
mere mizaj k sab mosamon ka sathi ho
wo mere nam ki nisbat se motabar thehre
gali gali meri ruswaiyon ka sathi ho
main us k hath na aon wo mera ho k rahe
main gir parun to meri pastiyon ka sathi ho
wo khwab dekhe to dekhe mere hawale se
mere khayalon k sab manzaron ka sathi ho
Khwab Ki Tarah Bikhar Jane Ko Ji Chahta Hai
khwab ki tarah bikhar jane ko ji chahta hai
aisi tanhai k mar jane ko ji chahta hai
ghar ki wehshat se larzta hun magar jane kyon
sham hoti hai to ghar jane ko ji chahta hai
dub jaun to koi mauj nishan tak na bataye
aisi nadi mein utar jane ko ji chahta hai
kabhi mil jaye to raste ki thakan jag pare
aisi manzil se guzar jane ko ji chahta hai
wohi paiman jo kabhi ji ko khush aya tha bahut
usi paiman se mukar jane ko ji chahta hai
Mere Khuda Mujhe Itna to Motabar Kar De
mere Khuda mujhe itna to motabar kar de
main jis makan mein rahta hun us ko ghar kar de
ye roshni k taqqub mein bhagta hua din
jo thak gaya hai to ab is ko mukhtasar kar de
main zindagi ki dua mangne laga hun bahut
jo ho sake to duaon ko beasar kar de
sitara-e-sahri dubne ko aya hai
zara koi mere suraj ko ba-khabar kar de
qabila war kamanein karakne wali hain
mere lahu ki gawahi mujhe nadar kar de
meri zamin mera akhiri hawala hai
so main rahun na rahun us ko barawar kar de
main apne khwab se kat kar jiyun to mere Khuda
ujar de meri mitti ko dar-ba-dar kar de
Thakan to Agle Safar K Liye Bahana Tha
thakan to agle safar k liye bahana tha
use to yun bhi kisi aur simt jana tha
wahi chirag bujha jis ki lau qayamat thi
usi pe zarb pari jo shajar purana tha
mata-e-jan ka badal ek pal ki sarshari
suluk khwab ka ankhon se tazirana tha
wahi firaq ki baten wahi hikayat-e-wasl
nai kitab ka ek ek warq purana tha
qaba-e-zard nigar-e-khizan pe sajti thi
tabhi to chal ka andaz khusrowana tha
Ye Ab Khula Hai K Koi Bhi Manzar Mera Na Tha
ye ab khula hai k koi bhi manzar mera na tha
main jis mein rah raha tha wahi ghar mera na tha
main jis ko ek umr sambhale phira kiya
mitti bata rahi wo paikar mera na tha
mauj-e-hawa-e-shahar-e-muqaddar jawab de
dariya mere na the k samandar mera na tha
phir bhi to sangsar kiya ja raha hun main
kahte hain nam tak sar-e-mahzar mera na tha
sab log apne apne qabilon k sath the
ek main hi tha k koi bhi lashkar mera na tha
Zara Si Der Ko Aye the Khwab Ankhon Mein
zara si der ko aye the khwab ankhon mein
phir us k bad musalsal azab ankhon mein
wo jis k nam ki nisbat se raushan tha wujud
khatak raha hai wahi aftab ankhon mein
jinhen mata-e-dil-o-jan samajh rahe the ham
wo aine bhi hue behijab ankhon mein
ajab tarah ka hai mausam k khak urti hai
wo din bhi the k khile the gulab ankhon mein
mere gazal teri wahshaton ki khair ki hai
bahut dinon se bahut iztarab ankhon mein
na jane kaisi qayamat ka peshkhema hai
ye uljhane teri be-intasab ankhon mein

