Khwaja Mir Dard Poetry Sms
Agar Yon Hi Ye Dil Satata Rahega
agar yon hi ye dil satata rahega
to ik din mera ji hi jata rahega
main jata hun dil ko tere pas chore
meri yad tujhko dilata rahega
gali se teri dil ko le to chala hun
main pahunchunga jab tak ye ata rahega
qafas main koi tum se ai ham-safiron
khabar kal ki hamko sunata rahega
khafa ho k ai “Dard” mar to chala tu
kahan tak gam apna chupata rahega
Apne Tain to Har Ghari Gam Hai, Alam Hai, Dag Hai
apne tain to har ghari gam hai, alam hai, dag hai
yad kare hamain kabhi kab ye tujhe dimag hai
ji ki khushi nahin giro sabz-o-gul ke hath kuch
dil ho shagufta jis jagah wo hi chaman hai bag hai
kis ki ye chashm-e-mast ne bazm ko yun chaka diya
masl-e-habab sar nagun sharam se har ayag hai
jalate hi jalte subah tak guzri use tamam shab
dil hai k shola hai koi, shama hai ya chirag hai
paiye kis jagah bata aye but-e-bewafa tujhe
umr-e-guzashta ki tarah gum hi sada surag hai
sair-e-bahar-o-bag se ham ko maf kijiye
us k khayal-e-zulf se dard kise farag hai ?
Chaman Main Subah Ye Kahti Thi Ho Kar Chashm-e-tar Shabnam
chaman main subah ye kahti thi ho kar chashm-e-tar shabnam
bahar-e-bag to yun hi rahi lekin kidhar shabnam
arq ki bund us ki zulf se rukhsar par tapki
tajub ki hai jage ye pari khurshid par shabnam
hamain to bag tujh bin khana-e-matam nazar aya
idhar gul pharte the jab, roti thi udhar shabnam
kare hai kuch na kuch tasir sohbat saf tabon ki
hui atish se gul ke baithate rashq-e-sharar shabnam
bhala tuk subah hone do ise bhi dekh lewenge
kisi ashiq ke rone se nahin rakhti khabar shabnam
nahin asbab kuch lazim subak saron ke uthne ko
gai ur dekhte apne bagair az bal-o-par shabnam
na paya jo gaya is bag se hargiz surag uska
na palti phir saba idhar, na phir ai nazar shabnam
na samjha Dard hamne bhed yan ki shadi-o-gam ka
sahar khandan hai kyon roti hai kis ko yak kar shabnam
Duniya Main Kaun Kaun Na Yak Bar Ho Gaya
duniya main kaun kaun na yak bar ho gaya
par mun phir is tarf na kiya us ne jo gaya
phirti hai meri khak saba dar-ba-dar liye
aye chashm-e-ashkbar ye kya tujh ko ho gaya
agah is jahan main nahin gair be khudan
jaga wahi idhar se jo mund ankh so gaya
tufan-e-noah ne to dabai zamin faqat
main nang-e-khalq sari khudai dubo gaya
barham kahin na ho gul-o-bulbul ki ashti
darta hun aj bag main wo tund khu gaya
waiz kise darawe hai yom-ulhisab se
giryan mera to nama-e-amal dho gaya
phulenge is zaban main bhi gulzar-e-marafat
yan main zamin-e-sher main ye tukhm bo gaya
aya na aitadal par hargiz mazaj-e-dahar
main garche garm-o-sard-e-zamana samo gaya
aye “Dard” jis ki ankh khuli is jahan main
shabnam ki tarah jan ko apni wo ro gaya
Ham Tujh Se Kis Hawas Ki Falak Justaju Karen
ham tujh se kis hawas ki falak justaju karen
dil hi nahin raha hai jo kuch arazu karen
mit jayen ek an main kasrat namayan
ham aine k samne a kar jo hu karen
tar-damani pe sheikh hamari na jaio
daman nichor den to farishte wazu karen
sar ta qadam zaban hai jun shama go k ham
par ye kahan majal jo kuch guftagu karen
har chand aina hun par itna na qabul
mun pher le wo jiske mujhe ru-ba-ru karen
na gul ko hai sabt na ham ko aitabar
kis bat par chaman hawas-e-rang-o-bu karen
hai apni ye salah k sab zahidan-e-shahar
ai “Dard” a ke bet-e-dast-e-sabu karen
Jag Main Akar Idhar Udhar Dekha
jag main akar idhar udhar dekha
tu hi aya nazar jidhar dekha
jan se ho gaye badan khali
jis taraf tune ankh bhar k dekha
nala fariyad ah aur zari
ap se ho saka so kar dekha
un labon ne ki na masihai
ham ne sau -sau tarah se mar dekha
zor ashiq mizaj hai koi
“Dard” ko qisa-e-mukhtasar dekha
Mera Ji Hai Jab Tak Teri Justaju Hai
mera ji hai jab tak teri justaju hai
zaban jab talak hai yahi guftagu hai
Khuda jane kya hoga anjam is ka
main besabar itna hun wo tund khu hai
tamana hai teri agar hai tamana
teri arzu hai, agar arzu hai
kiya sair hamne gulzar-e-duniya
gul-e-dosti main ajab rang-o-bu hai
ganimat hai ye did wa did-e-yaran
jahan mund gayi ankh, main hun na tu hai
nazar mere dil ki pari “dard” kis par
jidhar dekhta hun wahi ru-ba-ru hai
Tohmaten Chand Apne Zimme Dhar Chale
tohmaten chand apne zimme dhar chale
jis liye aye the so ham kar chale
zindagi hai ya koi tufan hai
ham to is jine ke hathon mar chale
kya hamain kam is gulon se ai saba
ek dam aye idhar udhar chale
dosto dekha tamasha yan ka sab
tum raho khush ham to apne ghar chale
ah bas ji mat jala tab janiye
jab koi afsun tera us par chale
shama ki manind ham is bazm main
chashm-nam aye the daman-tar chale
dhundte hain ap se usko pare
sheikh sahib chor ghar bahar chale
ham jahan main aye the tanhawale
sath apne ab use lekar chale
jun sharar ai hasti-e-bebud yan
bare ham bhi apni bari bhar chale
ek main dil resh hun waisa hi dost
zakhm kitnon ka suna hai bhar chale
ham na jane paye bahar ap se
wo bhi are a gaya jidhar chale
saqiya yan lag raha hai chal chalo
jab talak bas chal sake sagar chale
“Dard” kuch malum hai ye log sab
kis taraf se aye the kidhar chale
Tujhi Ko Jo Yan Jalwa Farma Na Dekha
tujhi ko jo yan jalwa farma na dekha
barabar hai duniya ko dekha na dekha
mera guncha-e-dil hai woh dil-girifta
k jis ko kaso ne kabhi wa na dekha
aziat, musibat, malamat, balayen
tere ishq main ham ne kya kya na dekha
kiya mujh ko dagon sarw-e-chiragan
kabho tu ne akar tamasha na dekha
tagaful ne tere ye kuch din dikhaye
idhar tu ne lekin na dekha, na dekha
hijab-e-rukh-e-yar the ap hi ham
khuli ankh jab, koi parda na dekha
shab-o-roz aye “Dard” darapai hun us ke
kaso ne jise yan samjha na dekha
Tum Aj Hanste Ho Hans Lo Mujh Par Ye Aamaish Na Bar Bar Hogi
tum aj hanste ho hans lo mujh par ye aamaish na bar bar hogi
main janta hun mujhe khabar hai k kal faza khushgawar hogi
rahe muhabbat main zindagi bhar rahegi ye kashamakash barabar
na tumko qurbat main jit hogi na mujhko furqat main har hogi
hazar ulfat sataye lekin mere iradon se hai ye mumkin
agar sharafat ko tumne chera to zindagi tum pe war hogi

