Kishwar Naheed Poetry Sms
Bimar Hain to Ab Dam-e-isa Kahan Se Aye
bimar hain to ab dam-e-isa kahan se aye
us dil main dard-e-shauq-o-tamanna kahan se aye
bekar shara-e-lafz-o-mani se fayeda
jab tu nahin to shahar main tujh sa kahan se aye
har chashm sang-e-khizb-o-adawat se surkh hai
ab admi ko zindagi karna kahan se aye
wahshat hawas ki chat gai khak-e-jism ko
be-dar gharon main shaql ka saya kahan se aye
jar se ukhar gaye to badalati ruton se kya
be-ab ainon main sarapa kahan se aye
sayon pe aitamad se ukta gaya hai ji
tufan main zindagi ka bharosa kahan se aye
gam k thapere le gaye nagin se lambe bal
raton main jangalon ka wo saya kahan se aye
‘Naheed’ faishanon ne chupaye hain aib bhi
chashmain na hon to ankh ka parda kahan se aye
Ham K Magub-e-guman the Pahle
ham k magub-e-guman the pahle
phir wahin hain k jahan the pahle
khwahishen jhurriyan ban kar ubhrin
zakhm sine main nihan the pahle
ab to har bat pe ro dete hain
waqif-e-sud-o-ziyan the pahle
dil se jaise koi kanta nikla
ashk ankhon se rawan the pahle
ab faqat anjumanarai hain
aitabar-e-dil-o-jan the pahle
dosh pe sar hai k hai barf jami
ham to sholon ki zuban the pahle
ab to har taza sitam hai taslim
hadse dil pe garan the pahle
meri hamzad hai tanhai meri
Hasrat Hai Tujhe Samne Baithe Kabhi Dekhun
hasrat hai tujhe samne baithe kabhi dekhun
main tujh se mukhatib hun tera hal bhi puchun
dil main hai mulaqat ki khwahish ki dabi ag
mehndi lage hathon ko chupa kar kahan rakhun
jis nam se tune mujhe bachpan se pukara
ik umr guzarne pe bhi wo nam na bhulun
tu ashk hi ban k meri ankhon main sama ja
main aina dekhun to tera aks bhi dekhun
puchun kabhi gunchon se sitaron se hawa se
tujh se hi magar a k tera nam na puchun
ai meri tamanna k sitare tu kahan hai
tu aye to ye jism shab-e-gam ko na saunpun
Kahaniyan Bhi Gain Qissa Khwaniyan Bhi Gain
kahaniyan bhi gain qissa khwaniyan bhi gain
wafa k bab ki sab bezubaniyan bhi gain
wo beziyabi-e-gam ki sabil bhi na rahi
luta yun dil k sabhi be-sabtiyan bhi gain
hawa chali to hare patte sukh kar tute
wo subah ai to hairannumaiyan bhi gain
we mera chehra mujhe aine main apna lage
usi talab main badan ki nishaniyan bhi gain
palat palat ke tumhen dekha par mile bhi nahin
wo ahad-e-zabt bhi tuta shitabiyan bhi gain
mujhe to ankh jhapakana bhi tha garan lekin
dil-o-nazar ki tasawwurshi’ariyan bhi gain

