Momin Khan Poetry Sms
Wo Jo Ham Main Tum Main Qarar Tha Tumhen Yad Ho K Na Yad Ho
wo jo ham main tum main qarar tha tumhen yad ho k na yad ho
wahi yani wada nibah k tumhen yad ho k na yad ho
wo naye gile wo shikayaten wo maze maze ki hikayaten
wo har ek bat pe ruthna tumhen yad ho k na yad ho
koi bat aisi agar hui jo tumhare ji ko buri lagi
to bayan se pahle hi bhulna tumhen yad ho k na yad ho
suno zikr hai kai sal ka, koi wada mujh se tha ap ka
wo nibahane ka to zikr kya, tumhen yad ho k na yad ho
kabhi ham main tum main bhi chah thi, kabhi ham se tum se bhi rah thi
kabhi ham bhi tum bhi the ashna, tumhen yad ho k na yad ho
hue itefaq se gar baham, wo wafa jatane ko dam-ba-dam
gila-e-malamat-e-arqaba, tumhen yad ho k na yad ho
wo jo lutf mujh pe the beshtar, wo karam k hath mere hath par
mujhe sab hain yad zara zara, tumhen yad no k na yad ho
kabhi baithe sab hain jo ru-ba-ru to isharaton hi se guftagu
wo bayan shauq ka barmala tumhen yad ho k na yad ho
wo bigarna wasl ki rat ka, wo na manana kisi bat ka
wo nahin nahin ki har an ada, tumhen yad ho ki na yad ho
jise ap ginte the ashna jise ap kahte the bawafa
main wahi hun “Momin”-e-mubtala tumhen yad ho k na yad ho
Thani Thi Dil Main Ab Na Milenge Kisi Se Ham
thani thi dil main ab na milenge kisi se ham
par kya kare k ho gaye nachar ji se ham
ham se na bolo tum ise kya kahte hain bhala
insaf kije puchte hain ap hi se ham
kya gul khilega dekhiye hai fasl-e-gul to dur
aur su-e-dasht bhagte hain kuch abhi se ham
kya dil ko le gaya koi begana ashna
kyun apne ji ko lagate hain kuch ajanabi se ham
Shab Tum Jo Bazm-e-gair Main Ankhen Chura Gaye
shab tum jo bazm-e-gair main ankhen chura gaye
khoye gaye ham aise k agyar pa gaye
majalis main us ne pan diya apne hath se
agyar sabz bakht the ham zahar kha gaye
gairon se ho wo pardanashin kyon na behijab
dam hay be-asar mere parda utha gaye
waiz k zikr-e-mehar-e-qayamat ko kya kahun
alam shab-e-wasl k ankhon main cha gaye
duniya hi se gaya main jo nahin naz se kaha
ab bhi guman-e-bad na gaye tere ya gaye
ai “Momin” ap kab se hue banda-e-butan
bare hamare ??? main hazrat bhi a gaye
Shab-e-gam-e-furqat Hamain Kya Kya Maze Dikhalae Tha
shab-e-gam-e-furqat hamain kya kya maze dikhalae tha
dam ruk tha sine main kambakht ji ghabrae tha
bal be ayari adu k age wo paiman shikan
wada-e-wasl phir karta tha aur sharmae tha
sun k meri marg bole mar gaya acha hua
kya bura lagta tha jis dam samne a jae tha
bat shab ko us k mana-e-beqarari se bari
ham to samjhe aur kuch wo aur kuch samjhae tha
koi din to us pe kya taswir ka alam raha
har koi hairat ka putla dekh kar ban jae tha
su-e-sahra le chale us ku se meri nash hae
tha yahi dar in dinon talwa mera khujlae tha
ho gai do roz ki ulfat main kya halat abhi
“Momin”-e-wahshi ko dekha is taraf se jae tha
Roya Karenge Ap Bhi Pahron Isi Tarah
roya karenge ap bhi pahron isi tarah
atka kahin jo ap ka dil bhi meri tarah
na tab hijr main hai na aram wasl main
kambakht dil ko chain nahin hai kisi tarah
gar chup rahen to gam-e-hijran se chut jayen
kahte to hain bhale k wo lekin buri tarah
na jaye wan bane hai na bin jaye chain hai
kya kijiye hamain to hai mushkil sabhi tarah
lagti hain galiyan bhi teri mujhe kya bhali
qurban tere, phir mujhe kah le isi tarah
hun janbalab butan-e-sitamgar k hath se
kya sab jahan main jite hain “Momin” isi tarah
Nawak Andaz Jidhar Dida-e-janan Honge
nawak andaz jidhar dida-e-janan honge
nim-bismil kai honge kai bejan honge
tab-e-nazara nahin aina kya dekhne dun
aur ban jayenge taswir jo hairan honge
tu kahan jayegi kuch apna thikana kar le
ham to kal khwab-e-adam main shab-e-hijran honge
phir bahar ai wahi dasht-e-nawardi hogi
phir wahi paon wahi khar-e-muglan honge
nasiha dil main tu itna to samajh apne k ham
lakh nadan huye kya tujh se bhi nadan honge
ek ham hain k huye aise pasheman k bas
ek wo hain k jinhen chah k arman honge
minnat-e-hazrat-e-isa na uthayenge kabhi
zindagi k liye sharminda-e-ehsan honge
umr to sari kati ishq-e-butan main “Momin”
ab akhiri waqt main kya khak musalaman honge
Jalta Hun Hijr-e-shahid-o-yad-e-sharab Main
jalta hun hijr-e-shahid-o-yad-e-sharab main
shauq-e-sawab ne mujhe dala azab main
kahte hain tum ko hosh nahin iztarab main
sare gile tamam hue ek jawab main
phaili shamim-e-yar mere ashk-e-surKh se
dil ko gazab fishar hua pech-o-tab main
rahte hain jama kucha-e-janan main khas-o-am
abad ek ghar hai jahan-e-kharab main
badnam mere giriya-e-ruswa se ho chuk
ab uzr kya raha nigah-e-behijab main
matlab ki justaju ne ye kya hal kar diya
hasrat bhi nahin dil-e-nakamayab main
nakamiyon se kam raha umr bhar hamain
piri main yas hai jo hawas thi shabab main
kya jalwe yaad aye k apni khabar nahin
be-bada mast hun main shab-e-mahtab main
paiham sajud pa-e-sanam par dam-e-wida
“Momin” Khuda ko bhul gaye iztarab main
Dar to Mujhe Kiska Hai K Main Kuch Nahin Kahta
Dar to mujhe kiska hai k main kuch nahin kahta
par hal ye afshan hai k main kuch nahin kahta
naseh ye gila hai k main kuch nahin kahta
tu kab meri sunta hai k main kuch nahin kahta
kuch gair se honthon main kahe hai pe jo pucho
to wahin mukarta hai k main kuch nahin kahta
naseh ko jo chahun to abhi thik bana dun
par khauf Khuda ka hai k main kuch nahin kahta
chup k se tere milne ka ghar walon main tere
is waste charcha hai k main kuch nahin kahta
ai charagaro qabil-e-darman nahin ye dard
warna mujhe sauda hai k main kuch nahin kahta
har waqt hai dushnam har ek bat pe tana
phir is pe bhi kahta hai k main kuch nahin kahta
“Momin” ba-Khuda sihar bayani ka jabhi tak
har ek ko dawa hai k main kuch nahin kahta
Asar Usko Zara Nahin Hota
asar usko zara nahin hota
ranj rahat faza nahin hota
tum hamare kisi tarah na hue
warna duniya main kya nahin hota
narasai se dam ruk to ruk
main kisi se khafa nahin hota
tum mere pas hote ho goya
jab koi dusra nahin hota
hal-e-dil yar ko likhun kyon kar
hath dil se juda nahin hota
kyon sune arz-e-muztarib ae ‘Momin’
sanam akhir Khuda nahin hota

