Nasir Kazmi Poetry Sms
Nasir kia kehta phirta haikch na suno tu behter hai
Nasir kia kehta phirta haikch na suno tu behter hai
dewaana hai dewaany k mun na lgo tu behter hai
kapry badal kr baal bana krkahan chaly ho kis k liye
raat bahut kaali hai nasirghar mai raho tu behter hai
Zaban Sukhan Ko, Sukhan Bankpan Ko Tarsega
zaban sukhan ko, sukhan bankpan ko tarsega
sukhankada meri tarz-e-sukhan ko tarsega
naye pyale sahi tere daur main saqi
ye daur meri sharab-e-kohan ko tarsega
mujhe to khair watan chor k aman na mili
watan bhi mujh se garib-ul-watan ko tarsega
unhin k dam se farozan hain millaton k charag
zamana sohbat-e-arbab-e-fan ko tarsega
badal sako to badal do ye bagban warna
ye bag saya-e-sard-o-saman ko tarsega
hawa-e-zulm yahi hai to dekhna ek din
zamin pani ko suraj kiran ko tarsega
Ye Bhi Kya Sham-e-mulaqat Ai
ye bhi kya sham-e-mulaqat ai
lab pe mushkil se teri bat ai
subah se chup hain tere hijr nasib
haye kya hoga agar rat ai
bastiyan chor k barse badal
kis qayamat ki ye barsat ai
koi jab mil k hua tha rukhsat
dil-e-betab wahi rat ai
saya-e-zulf-e-butan main ‘Nasir’
ek se ek nai rat ai
Wo Sahilon Pe Gane Wale Kya Hue
wo sahilon pe gane wale kya hue
wo kashtiyan jalane wale kya hue
wo subah ate ate rah gai kahan
jo qafile the ane wale kya hue
main jin ki rah dekhta hun rat bhar
wo raushani dikhane wale kya hue
ye kaun log hain mere idhar udhar
wo dosti nibhane wale kya hue
imaraten to jal k rakh ho gain
imaraten banane wale kya hue
ye ap ham to bojh hain zamin ka
zamin ka bojh uthane wale kya hue
Wo Dil Nawaz Hai Nazar Shanas Nahi
wo dil nawaz hai nazar shanas nahi
mera ilaj mere charagar k pas nahi
tarap rahe hain zaban par kai sawal magar
mere liye koi shayan-e-iltamas nahi
tere ujalon main bhi dil kanp kanp uthta hai
mere mizaj ko asudagi bhi ras nahi
kabhi kabhi jo tere qurb main guzre the
ab un dinon ka tasawwur bhi mere pas nahi
guzar rahe hain ajab marhalon se dida-o-dil
sahar ki as to hai zindagi ki as nahi
mujhe ye dar hai k teri arzu na mit jaye
bahut dinon se tabiyat meri udas nahi
Tu Hai Ya Tera Saya Hai
tu hai ya tera saya hai
bhes judai ne badla hai
dil ki haweli par muddat se
khamoshi ka qufl para hai
chikh rahe hain khali kamre
sham se kitni tez hawa hai
darwaze sar phor rahe hain
kaun is ghar ko chor gaya hai
hichki thamti hi nahi ‘Nasir’
aj kisi ne yad kiya hai
Tere Milne Ko Bekal Ho Gaye Hain
tere milne ko bekal ho gaye hain
magar ye log pagal ho gaye hain
baharen lek aye the jahan tum
wo ghar sunsan jangal ho gaye hain
yahan tak barh gaye alam-e-hasti
k dil k hausale shal ho gaye hain
kahan tak tab laye natawan dil
k sadme ab musalsal ho gaye hain
nigah-e-yas ko nind a rahi hai
musarda purashk bojhal ho gaye hain
unhen sadiyon na bhulega zamana
yahan jo hadse kal ho gaye hain
jinhen ham dekh kar jite the ‘Nasir’
wo log ankhon se ojhal ho gaye hain
Tere Khayal Se Lau De Uthi Hai Tanhai
tere khayal se lau de uthi hai tanhai
shab-e-firaq hai ya teri jalwarai
tu kis khayal main hai ai manzilon k shadai
unhen bhi dekh jinhen raste main nind ai
pukar ai jaras-e-karawan-e-subah-e-tarab
bhatak rahe hain andheron main tere saudai
rah-e-hayat main kuch marhale to dekh liye
ye aur bat teri arazu na ras ai
ye saniha bhi muhabat main barha guzra
k us ne hal bhi pucha to ankh bhar ai
phir us ki yad main dil beqarar hai ‘Nasir’
bichar k jis se hui shahar shahar ruswai
Safar-e-manzil-e-shab Yad Nahi
safar-e-manzil-e-shab yad nahi
log rukhsat huye kab yad nahi
dil main har waqt chubhan rahti thi
thi mujhe kis ki talab yad nahi
wo sitara thi k shabnam thi k phul
ik surat thi ajab yad nahi
aisa uljha hun gam-e-duniya main
ek bhi khwab-e-tarab yad nahi
bhulte jate hain mazi k dayar
yad ayen bhi to sab yad nahi
ye haqiqat hai k ahbab ko ham
yad hi kab the k ab yad nahi
yad hai sair-e-charagan “Nasir”
di k bujhne ka sabab yad nahi
Phir Sawan Rut Ki Pawan Chali Tum Yad Aye
phir sawan rut ki pawan chali tum yad aye
phir patton ki pazeb baji tum yad aye
phir kunjen bolin ghas k hare samandar main
rut ai pile phulon ki tum yad aye
phir kaga bola ghar k sune angan main
phir amrat ras ki bund pari tum yad aye
pahle to main chikh k roya aur phir hansne laga
badal garja bijli chamaki tum yad aye
din bhar to main duniya k dhandhon main khoya raha
jab diwaron se dhup dhali tum yad aye


