Qateel Shifai sms
Angrai Par Angrai Leti Hai Rat Judai Ki
angrai par angrai leti hai rat judai ki
tum kya samjho tum kya jano bat meri tanhai ki
kaun siyahi ghol raha tha waqt k bahte dariya mein
main ne ankh jhuki dekhi hai aj kisi harjai ki
wasl ki rat na jane kyun israr tha unko jane par
waqt se pahle dub gae taron ne bari danai ki
urte urte as ka panchi dur ufaq mein dub gaya
rote rote baith gai awaz kisi saudai ki
Apne Hathon Ki Lakiron Mein Basale Mujhko
apne hathon ki lakiron mein basale mujhko
main hun tera nasib apna bana le mujhko
mujhse tu puchne aya hai wafa k mani
ye teri sada dili mar na dale mujhko
main samandar bhi hun moti bhi hun gotazan bhi
koi bhi nam mera le k bulale mujhko
tune dekha nahin aine se age kuch bhi
khudaparasti mein kahin tu na ganwale mujhko
kal ki bat aur hai main ab sa rahun ya na rahun
jitna ji chahe tera aj satale mujhko
khud ko main bant na dalun kahin daman-daman
kar diya tune agar mere hawale mujhko
main jo kanta hun to chal mujh se bachakar daman
main hun gar phul to jure mein sajale mujhko
main khule dar k kisi ghar ka hun saman pyare
tu dabe paon kabhi aa k churale mujhko
tark-e-ulfat ki qasam bhi koi hoti hai qasam
tu kabhi yad to kar bhulanewale mujhko
bada phir bada hai main zahar bhi pi jaun “Qateel”
shart ye hai koi bahon mein sambhale mujhko
Apne Honton Par Sajana Chahta Hun
apne honton par sajana chahta hun
a tujhe main gungunana chahta hun
koi ansu tere daman par gira kar
bund ko moti banana chahta hun
thak gaya main karte-karte yad tujhko
ab tujhe main yad ana chahta hun
cha raha hai sari basti mein andhera
raushani ho ghar jalana chahta hun
akhri hichki tere zanon pe aye
maut bhi main shayrana chahta hun
Bechain Baharon Mein Kya-kya Hai Jan Ki Khushbu Ati Hai
bechain baharon mein kya-kya hai jan ki khushbu ati hai
jo phul mahakta hai us se tufan ki khushbu ati hai
kal rat dikha k khwab-e-tarab so sej ko suna chor gaya
har silwat se phir aj usi mehman ki khushbu ati hai
talkin-e-ibadat ki hai mujhe yun teri muqaddas ankhon ne
mandir k darichon se jaise loban ki khushbu ati hai
kuch aur bhi sansen lene par majbur-sa main ho jata hun
jab itne bare jangal mein kisi insan ki khushbu ati hai
kuch tu hi mujhe ab samjha de ai kufr duhai hai teri
kyun shekh ke daman se mujhko iman ki khushbu ati hai
darta hun kahin is alam mein jine se na munkir ho jaun
ahbab ki baton se mujhko ehsan ki khushbu ati hai
Charag Dil K Jalao K Eid Ka Din Hai
charag dil k jalao k eid ka din hai
tarane jhum k gao k eid ka din hai
gamon ko dil se bhulao k id ka din hai
khushi se bazm sajao k eid ka din hai
huzur us ki karo ab salamti ki dua
sar-e-namaz jhukao k eid ka din hai
sabhi murad ho puri har ek sawali ki
dua ko hath uthao k eid ka din hai
Dard Se Mera Daman Bhar De Ya Allah
dard se mera daman bhar de ya allah
phir chahe diwana kar de ya Allah
main ne tujhse chand sitare kab mange
raushan dil bedar nazar de ya Allah
suraj si ik chiz to ham sab dekh chuke
sach-much ki ab koi sahar de ya Allah
ya dharti k zakhmon par marham rakh de
ya mera dil patthar kar de ya Allah
Dil Ko Gam-e-hayat Gawara Hai in Dinon
dil ko gam-e-hayat gawara hai in dinon
pahle jo dard tha wahi chara hai in dinon
ye dil zara sa dil teri yadon mein kho gaya
zarre ko andhiyon ka sahara hai in dinon
har sail-e-ashk sahil-e-taskin hai aj kal
darya ki mauj-mauj kinara hai in dinon
shamon mein ab nahin hai wo pahle si roshni
shayad wo chand anjumanara hai in dinon
tum a sako to shab ko barha dun kuch aur bhi
apne kahe mein subah ka tara hai in dinon
qurban hon jis k husn pe sau jannaten ‘Qateel’
nazaron k samne wo nazara hai in dinon
Duniya Ne Ham Pe Jab Koi Ilzam Rakh Diya
duniya ne ham pe jab koi ilzam rakh diya
ham ne muqabil us k tera nam rakh diya
ik khas had pe a gai jab teri berukhi
nam us ka ham ne gardish-e-ayyam rakh diya
main larkhara raha hun tujhe dekh-dekh kar
tune to mere samne ik jam rakh diya
kitna sitamzarif hai wo sahib-e-jamal
us ne diya jala k lab-e-bam rakh diya
insan aur dekhe bagair us ko man le
ik khauf ka bashar ne Khuda nam rakh diya
ab jis k ji mein aye wahi paye raushani
ham ne to dil jala k sar-e-am rakh diya
kya maslahatshanas tha wo adami ‘Qateel’
majburiyon ka jis ne wafa nam rakh diya
Garmi-e-hasrat-e-nakam Se Jal Jate Hain
garmi-e-hasrat-e-nakam se jal jate hain
ham charagon ki tarah sham se jal jate hain
bach nikalate hain agar atih-e-sayyad se ham
shola-e-atish-e-gulfam se jal jate hain
khudnumai to nahin shewa-e-arbab-e-wafa
jin ko jalna ho wo aram se jal jate hain
shama jis ag mein jalti hai numaish k liye
ham usi ag mein gumnam se jal jate hain
jab bhi ata hai mera nam tere nam ke sath
jane kyun log mere nam se jal jate hain
rabta baham pe hamein kya na kahenge dushman
ashna jab tere paigam se jal jata hai
Guzre Dinon Ki Yad Barsati Ghata Lage
guzre dinon ki yad barsati ghata lage
guzrun jo us gali se to thandi hawa lage
mehman banke aye kisi roz agar wo shakhs
us roz bin sajaye mera ghar saja lage
main is liye manta nahin wasl ki khushi
mere raqib ki na mujhe baddua lage
wo qahat dosti ka para hai k in dinon
jo muskura k bat kare ashna lage
tark-e-wafa k bad ye us ki ada ‘Qateel’
mujhko sataye koi to us ko bura lage

