Sagar Siddiqi Poetry Sms
Ye Jo Diwane Se Do Char Nazar Ate Hain
ye jo diwane se do char nazar ate hain
in mein kuch sahib-e-asrar nazar ate hain
teri mahfil ka bharam rakhte hain so jate hain
werna ye log to bedar nazar ate hain
dur tak koi sitara hai na koi jugnu
marg-e-ummid k asar nazar ate hain
mere daman mein shararon k siwa kuch bhi nahin
ap phulon k kharidar nazar ate hain
kal jise chu nahin sakti thi farishton ki nazar
aj wo raunaq-e-bazar nazar ate hain
hashr mein kaun gawahi meri dega ‘Sagar’
sab tumhare hi tarafdar nazar ate hain
Wo Bulayen to Kya Tamasha Ho
wo bulayen to kya tamasha ho
ham na jayen to kya tamasha ho
ye kinaron se khelne wale
dub jayen to kya tamasha ho
bandaparwar jo ham pe guzri hai
ham batayen to kya tamasha ho
aj ham bhi teri wafaon par
muskurayen to kya tamasha ho
teri surat jo ittefaq se ham
bhul jayen to kya tamasha ho
waqt ki chand satein ‘Sagar’
laut ayen to kya tamasha ho
Teri Dunya Mein Ya Rab Zist Ke Saman Jalte Hain
teri dunya mein ya rab zist ke saman jalte hain
fareb-e-zindagi ki ag mein insan jalte hain
dilon mein azmat-e-tauhid k dipak fasurda hain
jabinon par riya-o-kubr k saman jalte hain
hawas ki baryabi hai khird-mandon ki mahfil mein
rupahli tikaliyon ki ot mein iman jalte hain
hawadis raqs-farma hain qayamat muskurati hai
suna hai nakhuda k nam se tufan jalte hain
shagufe jhulte hain is chaman mein bhuk k jhule
baharon mein nasheman to bahar-e-unwan jalte hain
kahin azeb ki chan-chan mein majburi tarapti hai
riya dam tor deti hai sunehre dan jalte hain
manao jashn-e-may-noshi bikhrao zulf-e-maykhana
ibadat se to “Sagar” dahar k shaitan jalte hain
Tere Daman Ki Hawa Mangte Hain
tere daman ki hawa mangte hain
ham bhi jine ki dua mangte hain
mutribo koi achuta nagma
saz ahang-o-sada mangte hain
mah-o-anjum k jharoke aksar
kisi k ariz ki dua mangte hain
phir patangon mein Khudai jagi
shole hashr-numa mangte hain
banda-parwar koi khairat nahin
ham wafaon ka sila mangte hain
maikada ho k kalisa Sagar
sari duniya ka bhala mangte hain
Rudad-e-muhabbat Kya Kahye Kuch Yad Rahi Kuch Bhul Gaye
rudad-e-muhabbat kya kahye kuch yad rahi kuch bhul gaye
do din ki masrrat kya kahye kuch yad rahi kuch bhul gaye
jab jam diya tha saqi ne jab daur chala tha mahfil mein
wo hosh k sath kya kahye kuch yad rahi kuch bhul gaye
ehsas k maikhane mein kahan ab fikr-o-nazar ki qandilen
alam ki shiddat kya kahye kuch yad rahi kuch bhul gaye
ab apni haqiqat bhi “Sagar” berbt kahani lagti hai
dunya ki haqiqat kya kahye kuch yad rahi kuch bhul gaye
Hai Dua Yad Magar Harf-e-dua Yad Nahin
hai dua yad magar harf-e-dua yad nahin
mere nagmat ko andaz-e-nawa yad nahin
main ne palkon se dar-e-yar pe dastak di hai
main wo sahil hun jise koi sada yad nahin
main ne jin k liye rahon mein bichaya tha lahu
ham se kahte hain wahi ahd-e-wafa yad nahin
kaise bhar ain sar-e-sham kisi ki ankhen
kaise tharrae charagon ki ziya yad nahin
sirf dhundhlai sitaron ki chamak dekhi hai
kab hua kaun hua kis se khafa yad nahin
zindagi jabr-e-musalasal ki tarah katti hai
jane kis jurm ki pai hai saza yad nahin
ao ik sajda karen alam-e-madhoshi mein
kahte hain k “Sagar” ko Khuda yad nahin
Ek Wada Hai Kisi Ka Jo Wafa Hota Nahin
ek wada hai kisi ka jo wafa hota nahin
marmari taron bhari raton mein kya hota nahin
ji mein ata hai ulat dein un k chehre se naqab
hausla karte hain lekin hausla hota nahin
shama jis ki abru par jan de de jhum kar
wo patanga jal to jata hai fana hota nahin
Ek Muddat Hui Ek Zamana Hua
ek muddat hui ek zamana hua
khak-e-gulshan mein jab ashiyana hua
zulf-e-barham ki jab se shanasai hui
zindagi ka chalan mujremana hua
phul jalte rahe chand hanste raha
arzu ka muqammal fasana hua
dag dil k shahanshah k sike bane
dil ka muflis-kada jab khazana hua
rahbar ne palat kar na dekha kabhi
rahr-o-raste ka nishana hua
ham jahan bhi gaye zauq-e-sajda liye
har jagah ap ka astana hua
dekh mizarab se khun tapkane laga
saz ka tar marg-e-tarana hua
pahle hoti thi koi wafa-parawari
ab to “Sagar” ye qissa purana hua
Dukh Dard Ki Saugat Hai Dunya Teri Kya Hai
dukh dard ki saugat hai dunya teri kya hai
ashkon se bhari rat hai dunya teri kya hai
kuch log yahan nur-e-sahar dhundh rahe hain
tarik si ik rat hai dunya teri kya hai
paband-e-mashiyat hai tanaffus bhi nazar bhi
ik jazya-e-lamhat hai dunya teri kya hai
taqdir k chehre ki shikan dekh raha hun
aina-e-halat hai dunya teri kya hai
majruh-e-taqaddus hai taqaddus ki haqiqat
rudad-e-kharabat hai dunya teri kya hai
“Sagar” mein chalkate hain samawat k israr
saqi ki karamt hai dunya teri kya hai
Chupaye Dil Mein Gamon Ka Jahan Baithe Hain
chupaye dil mein gamon ka jahan baithe hain
tumhari bazm mein ham bezaban baithe hain
ye aur bat k manzil pe ham pahunch na sake
magar ye kam hai k rahon ko chan baithe hain
fugan hai dard hai soz-o-firaq-o-dag-e-alam
abhi to ghar mein bahut mehrban baithe hain
ab aur gardish-e-taqdir kya satayegi
luta k ishq mein nam-o-nishan baithe hain
wo ek lafz-e-mohabbat hi dil ka dushman hai
jise shariat-e-ehsas man baithe hain
hai maikadon ki baharon se dosti ‘Sagar’
baraye had-e-yaqin-o-guman baithe hain

